ιsнq нυтιүαρα...

Jane Kitni Hi Raatein Guzari Unke Intzaar Mein
Yha Tak Ki Unke Liye Lut Gaye Hum
Beech Bazar Mein,

Fir Bhi Kadr Nhi Unhe Hamari
Isi Baat Par Hasti Hai Ye Duniya Sari,

Shukriya Is Sabke Liye
Jo kuch Bhi Tune Mujhe Sikhaya
Teri Is Judai Ne Mujhe Naya Mod Dikhaya,

Nhi Hai Koi Shikve
Na Is Duniya Se Na Tujhse,

Mujhe Shikayat Hai To
Khud Ki Takdeer Se ,Aur Khud se,

Nahi Aaunga Teri Zindagi Mein Laot Kar
Tu Chahe Jitni Koshish Kar
Chahe Lakh Duayein Maang Le,

Kisi Bhi Sajde par Tek Mattha
Chahe Kitni Bhi Mannat Maang Le,

Ha Tujhe Khud Se Jyada Pyar Kiya
Uska Tune Mujhe Bahot Hi Acha Inaam Diya,
Mujhe Chhod Diya, Ha Ye Ek bada Kaam Kiya

Chal Ab Rukta Hu Warna,
Padhne Wale Bhi Bor Ho Jayenge,

Ja Jee Le Apni Zindagi
Teri zindagi Mein Bhi Naye Log Aayenge.
Lekin Kar Yakeen Mera
Hum Teri Zindagi Mein Nahi Laot Kar Aayenge.

Comments

Post a Comment

Thanks for connecting with us.

Popular posts from this blog

🅰🅷🅼🅸🆈🅰🆃 😊😊